Sunni | Hanafi | Barelwi | Visit English Site

Inshort Category: Quran

Sikander Warsi
Sikander Warsi

05 Jan 2024

Quran Paak Arabi Na Padh Ke Uska Tarjuma Padha To Kya Wo padha mana jayega?
Answer

Nahi, Tarjuma Padhne Se Quran Padhne Ki Wo Fazilat Nahi Hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

05 Jan 2024

Quran Baghair Kisi Ghilaf Bina Bistar Ke Direct Charpai Par Rakh Kar Pdhna Kaisa?
Answer

Jaiz Hai Magar Charpai Napak Na Ho Aur Paitiyane Ki Taraf Na Rakha Jaye Sirhane Ki Taraf Rakh Kar Padha Jaye.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

05 Jan 2024

Jis Mobile Me Fahash Movie Dekhi Gayi Ho Kya Us Mobile Me Quran Padh Sakte Hain?
Answer

Fahash Movie Dekhna Haram Hai, Albatta Usi Phone Me Quran Padh Sakte Hain.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

05 Jan 2024

Quran Ki Tilawat Hum Kisi Ki Peeth Ke Piche Nahi Karte, Kya Mobile App me bhi Riayat Karni Hogi?
Answer

Mobile Me Iski Riayat Ki Zaroorat Nahi Hai Kyun Ki Peeth Karne Se Qat'an Quran Ki Taraf Peeth Nahi Hoti Balki Mobile Ki Taraf Hoti Hai Jaisa Ki Mobile Me Quran Padhne Ya Chune Ke Liye Wuzu Farz Nahi Waise Hi, Behtar Hai Kaabe Ki Taraf Munh Karke Padhe.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

05 Jan 2024

Napaki Ki Halat Ya Halat e Janabat Me Quran Ek Jagah Se Dusri Jagah Utha Kar Rakh Sakte Hain?
Answer

Dono Halat Shayad Ek Hi Hoti Hai? Napaki Me Quran Ka Chuna Haram Hai, Albatta Sahih Zaroorat Pesh Aaye Maslan Kahin Aur Rakhna Ho Doosra Banda Nahi Hai To Kisi Pak Aur Mote Kapre, Jise Khud Pehne Na Ho, Usse Utha Kar Rakh Sakte Hain.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

05 Jan 2024

Quran Majeed Hath Se Gir Jaye To Kya Kare?
Answer

Agar Ghalati Se Gir Jaye To Harj Nahi Yani Gunah Nahi Hai Magar Aise Kam Me Ghaflat Na Kara Kare Baki Ehtiatan Tauba Kar Le To Harj Nahi.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

05 Jan 2024

Mobile Me Quran Ho Toh Mobile Zameen Par Rakhne Se Kya Quran Ki Beadbi Hogi?
Answer

Nahi, Isse Quran Ki Koi Be-adabi Nahi Hai Aur Na Aisa Karne Me Koi Harj Ya Gunah.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

05 Jan 2024

Ghar Ke 3 Floor Ho To Quran Ground Floor Me Rakh Sakte Hai?
Answer

Isme Kya Harj Hai, Har Floor Wala Apne Apne Room Me Quran Rakhega Hi Aur Padhega Bhi Aur Namaz Bhi Padhega.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

05 Jan 2024

Garmi Ki Wajah Se Shirt Ya Kurta Utar Kar Quran Padh Sakte Hain?
Answer

Padh Sakte Hain, Jabki Banyan Waghaira Kuch Pehna Hua Ho.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

05 Jan 2024

YouTube Par Quran Audio Ya Video Me Upload Karna Kaisa hai?
Answer

Youtube Ya Kisi Bhi Website Par Kisi Bhi Formate (Audio/Video) Me Quran Ko Upload Karna Jaiz Hai Balki Sawab Hai Ki Doosre Log Usse Tilawat Sun Sakte Hain.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

05 Jan 2024

Aurat Quran Buland Awaz Se Padhe Ya Ahista?
Answer

Agar Aurat Ghar Me Tanha Hai Thori Awaz Se Padh Sakti Hai Harj Nahi Warna Fir Ahista Padhe Aur Ahista Se Murad Ye Hai Ki Khud Ke Kaan Zaroor Sune Aisa Na Ho Ki Dil Me Padhe, Warna Padha Hua Mana Nahi Jayega.