Sunni | Hanafi | Barelwi | Visit English Site

Inshort Category: Nikah / Talaq

Sikander Warsi
Sikander Warsi

06 Jan 2024

Haram Rishte (Relationship) Se Bachne Ke Liye Chupkar Bina Walidain Ki Ijazat Ke Nikah Jaiz Hoga?
Answer

Agar Kufu Ke Mamle Me Ladka Ladki Se Behtar Hai Aur Sharai Meher o Gawah Ke Sath Nikah Kiya Jaye To Nikah Durust Hoga

Magar Walidain Se Chup Kar Aisa Karna Unki Dil Azari, Beadabi Hai, Haram Rishte Jab Panapte Hain Jab Ladka Ladki Apas Me Bat Kare, Nikah Tak Aise Mamlo Se Door Rehna Chahiye, Aur Gunah Ka Zan Ghalib Hai To Foran Ghar Me Badon Se Bat Kare Aur Jald Nikah Ko Kahe. Fir Bhi Agar Wo Na Mane Tab Koi Surat Ban Jayegi Khud Nikah Ki.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

06 Jan 2024

Kya Dulhe Ko Sehra Bandhna Haram Hai?
Answer

Dulhe Ko Phoolo Ka Sehra Bandhna Jaiz Hai Haram Kehna Ghalat Hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

06 Jan 2024

Agar Koi Kisi Marz Me Mubtila Hai To Rishta Lagne Ke Baad Use Batana Zaroori Hai?
Answer

Agar Marz Thik Ho Gaya To Batane Ki Zaroorat Nahi, Agar Hai Aur Chota Mota Hai To Bhi Batane Ki Zaroorat Nahi Aur Koi Serious Bimari Hai To Batana Hoga.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

01 Sep 2023

Agar kisi ne gusse me 3 talaq de di to kya talaq ho gai
Answer

Pucchi gai surat me aurat ko 3 talaq Ho gai, aur ye aurat us aadmi ke liye humesha ke liye haram ho gai. Ab fir ussey nikah nahi kar sakta baghair halala kiye.