Sunni | Hanafi | Barelwi | Visit English Site

Inshort Category: Nikah / Talaq

Sikander Warsi
Sikander Warsi

06 Jan 2024

Sayyid Ladka Ghair e Sayyid Ladki Se Nikah Karna Chahe To Ho Jayega?
Answer

Nikah Ho Jayega Nikah Ke Liye Dono Ka Musalman Hona Zaroori Hai, Magar Behtar Yahi Hai Ki Sayyid Me Hi Kara Jaye.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

06 Jan 2024

Kya Nikah Ke Fauran Bad Talaq Ho Jati Hai?
Answer

Han Nikah Ke Fauran Bad Talaq Ho Jati Hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

06 Jan 2024

Nikah Ke Bad Walima Kab Karna Sunnat Hai?
Answer

Nikah Ke Bad Rukhsati Fir 3 Din Ke Andar Walima.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

06 Jan 2024

Kya Tajdeed e Nikah Me Bhi Meher Dena Zaroori Hai?
Answer

Agar Kufr Sarih Hua Hai To Naye Nikah Ke Sath Naya Meher Ada Karna Hoga, Aur Agar Nikah Mehez Ehtiyatan Tajdid e Nikah Hai To Meher Ki Zaroorat Nahi.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

06 Jan 2024

Ladki Rishte Me Ladke Ki Door Ki Khala Lagti Hai Dono Ki Umar Same Hai To Nikah Ho Jayega?
Answer

Agar Ye Sagi Khala Ya Maharim Me Se Nahi Hai To Nikah Ho Jayega Umar Ka Ek Hona Zaroori Nahi.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

06 Jan 2024

Ek Aurat Gusse Me Apne Shohar Ko 3 Bar Talaq Keh Deti Hai To Talaq Ho Jayegi?
Answer

Jab Talaq Dene ka Haq Mard Ke Pas Hai To Aurat Ke Talaq Dene Se Kya Hoga? 3 Bar Kahe Ya 300 Bar, Aur Aisi Aurat Ke 2 Thappad Lagane Chahiye Taki Hosh Me Aa Jaye.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

06 Jan 2024

Kya Chachi Apne Bhatije Se Nikah Kar Sakti Hai?
Answer

Chacha Ki Maut Ke Baad Aur Iddat Guzarne Ke Bad Nikah Kar Sakti Hai, Bas Ye Khayal Rahe Ki Chachi Ki Sagi Behen Pehle Se Bhatije Ke Nikah Me Na Ho.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

06 Jan 2024

Kya Dulhe Ko Ubtan Maa, Behen Aur Chachi Laga Sakti Hai?
Answer

Ubtan Mard Khud Bhi Laga Sakta Hai, Behtar Yahi Hai Ki Khud Hi Lagaye Warna Bhai Wagera Mard Hazrat, Maa Behen Laga Sakti Hai Sitr Chor Kar, Aur Chachi Nahi.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

06 Jan 2024

Nikah Me Kafir Ko Gawah Bana Sakte Hain?
Answer

Nikah Me Kafir Ki Gawahi Qubul Nahi Hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

06 Jan 2024

Khwateen Ka Bina Ghusl Ke Nikah Padha Diya To Kya Nikah Mana Jayega?
Answer

Nikah Ke Liye Pak Hona Shart Nahi Hai, Behtar Tha Ki Ghusl Wuzu Se Hona, Magar Fir Bhi Kisi Wajah Se Ghusl Na Kiya Gaya To Nikah Ho Jayega.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

06 Jan 2024

Biwi Ko, Mauf Kar De Meri Maa Bolne Se Nikah Toot Jayega?
Answer

Is Tarah Bolne Se Nikah Nahi Tootega Magar Aise Alfaz Na Bole Jaye.