05 Jan 2024
Ji Han Allah Ne Chaha To Zaroor Sawab Milega Online Likhne Par Bhi
05 Jan 2024
Jamhoor Ulama Ka Yahi Qol Hai Ki Aapne Aab-e-hayat Piya Hai Aur Qayamat Tak Zinda Rahenge.
05 Jan 2024
Rasool e Azam ﷺ Ko Sirf Naam Se Ya Muhammad Pukarna Najaiz Hai.
05 Jan 2024
Ye Aqeeda Rakhna Ki Ambiya Bhi Gunah Karte Hain Batil Hai Ambiya Tamam Ke Tamam Gunah Se Paak Hote Hain Aur Ye Har Qism Ke Gunah Se Paak Hote Hain, Iske Khilaf Aqeeda Rakhna Islam Ka Hissa Nahi Hai Aur Ap Pehle Uska Aqeede Check Kijiye Jisne Kaha Ki “Ambiya Ke Andar Gunah Rakhe Gaye Hain.”
05 Jan 2024
Huzoor Purnoor ﷺ Ki Tarikh e Wiladat 12 Rabi ul Awwal Hai, Aur Yahi Fatawa Razviya Me Naql Hai, Fatawa Razviya Me 8 Rabi ul Awwal Batane Wale Ko Kitab Ki Ibarat Padhne Ki Qabiliyat Nahi Hai, Wahan 8 Rabi ul Awwal Ki Nafi Likhi Hai.
05 Jan 2024
Tamam Ambiya Zinda Hote Hain, Aur Allah Wale Bhi, Magar Baz Walion Ko Bad e Wafat Bhi Imdad Ki Quwwat Di Jati Hai Agarche Ye Mamla Sabke Sath Nahi Hai, Magar Aam Insan Ka Ye Tay Kar Pana Mushkil Hai Ki Kis Wali Ka Martaba Bada Hai Lihaza Wo Sabke Sath Adab Ka Mamla Rakhte Hain, Kyun Ki Qabar Me Nek Momin Ko Bahar Ki Khabar Hoti Hai Wo Sunta, Janta, Dekhta, Mehsus Karta Hai.
05 Jan 2024
Farz Namaz Ke Bad Foran Allah Se Dua Ki Jaye, Ki Isi Ki Targheeb Dilai Gai Hai Fir Bad Dua Farigh Ho Kar Nabi e Kareem ﷺ Ki Bargah Me Salat o Salam Pesh Kiya Jaye Fir Dua Kar Li Jaye Ki Nabi Allah Ki Ata Se Hajat-Rawa Hain.
04 Jan 2024
Gustakh e rasool beshak kafir hai. Aur uski saza siwaye maut ke kuchh nahi. Usse tauba karwai jayegi or bad tauba ke use maut ki Saza ki jayegi, tauba ke bad bhi maut isilye ki tauba ka Ye faida hoga isse uski namaz e janaza ho sakti hai.
Aur agar tauba naa kare to bhi maut ki saza hai magar Ab namaz e janaza bhi nahi padhi jayegi, Aur ye kaam hukumat e islamia ka hai, badshah e islam Saza dene par qadir hoga, Aur fi zama hukumat islam ki nahi to hukm ye hai ki Aise shaks ko kanoon ke hawale kiya jaye. Awam ko kanoon hath me lene ki ijazat nahi hogi.
26 Sep 2023
Pyara Aaqa Muhammad ﷺ ki azwaj ki tadad ko lekar ulama me ikhtilaf hai Magar 11 azwaj ko lekar kisi ka ikhtilaf nahi,
In 11 ummat ki maao (mothers) me se 6 khandan e quraish Ke unche gharano se thi, Or 4 khandan e quraish se nahi balki arab se doosre qabile se thi Or ek (Safiya) ye khandan e bani israil ki ek Shareefunnasab raees‐zadi thi.
03 Sep 2023
Pyare nabi Muhammad ﷺ ki janaza ki namaz ke liye log giroh dar giroh aate or namaz ada karte magar koi imam naa tha.
Jaise ki Shaikh Abdul Haq Muhaddis e Dehelvi (madarijun‐nabiwat) me tehreer farmate hai Janaza tayyiar hua to log namaz e janaza ke liye tut padhe, Pehle mardo ne fir aurton ne fir bachcho ne namaz e janaza padhi, Janaza e mubarka hujra e aqdas ke andar hi tha. Bari bari se thode thode log andar jaate the aur namaz padh kar chale aate they lekin koi imam naa tha.
03 Sep 2023
Apke kul nawasa nawasio ki tadad 9 thi, Jinme 5 Nawase or 4 Nawasiya thi