Sunni | Hanafi | Barelwi | Visit English Site

Inshort Category: Masjid / Azan

Sikander Warsi
Sikander Warsi

23 Jan 2024

Wahabi Deobandi Ki Azan Par Khamosh Hona Zaroori Hai?
Answer

Inki Azan Ka Jawab Dena Zaroori Nahi To Khamoshi Hi Lazim Hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

23 Jan 2024

Zaid Imamat Karwata Hai, us par Ghusl Farz Ho Gaya Aur Uski Ankh Fajr Ki Azan Ke Waqt Khuli ab kya kare?
Answer

Pura Sawal: Zaid Imamat Karwata Hai, Zaid Par Ghusl Farz Ho Gaya Aur Uski Ankh Fajr Ki Azan Ke Waqt Khuli To Zaid Azan Dega Ya Ghusl Karega Aur Koi Dusra Azan Dene Wala Bhi Maujood Nahi Hai?

Answer: Pehle Ghusl Karega Uske Baad Azan Dega, Kyun Ki Waqt Lagte Hi Azan Dena Wajib Nahi Hai Lihaza Farz Me Kafi Waqt Hota Hai Isilye Ghusl Kiya Ja Sakta Hai Us Din Azan Kuch Der Se Ho To Isme Harj Nahi, Jamat To Waqt Par Hi Hogi.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

23 Jan 2024

Masjid Me College Ki Padhai Kar Sakte Hain?
Answer

Masjid Me Har Tarah Ki Ibadat Ki Ja Sakti Hai Aur College Ki Padhai Koi Ibadat Nahi Hai, Agar Masjid Me College Ki Padhai Hogi To Kya College Wale College Me Namaz Padhne Denge.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

23 Jan 2024

Paidaish Ke Fauran Baad Bachche Ke Kaan Me Azan Dena Zaroori Hai?
Answer

Bachche Ke kaan Me Fauran Azan Dena Chahiye Aur Fauran Se Murad Ye Hai Ki Paidaish Ke Baad Nehla Kar Aur Agar Hospital Me Ho Ya Halat Sanjida Ho To Jab Rahat Mile Tab Ya Jab Ghar Aye Fauran Tab.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

23 Jan 2024

Hazrat Bilal رضى الله عنه Ne Azan Nahi Di To Subah Nahi Hui?
Answer

Ulama Ne Is Baat Ko Be-Asal Farmaya Hai, Ye Waqya Sahi Nahi Hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

23 Jan 2024

Kya Masjid Me Azan Bina Wuzu Ke Di Jaa Sakti Hai?
Answer

Bina Wuzu Ke Azan Dena Jaiz Hai, Yani Azan Di To Ho Jayegi Albatta Isse Bachna Chahiye.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

23 Jan 2024

Kya Qaza e Umri Me Azan Iqamat Nahi Kaha To Namaz Ho Jayegi?
Answer

Ho Jayegi, Aur Azan Iqamat Dena Zaruri Nahi Magar Mana Bhi Nahi.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

23 Jan 2024

Kya Masjid Me Naara Laga Sakte Hain?
Answer

Ji Haan, Isme Koi Harj Nahi Naara Zikr Hai, Zikr Masjid Me Jaiz Hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

23 Jan 2024

Masjid Ki Light Se Phone Charge Kar Sakte Hain?
Answer

Sirf Masjid Ke Imam Aur Deegar Khadim Jo Masjid Me Hi Rehte Hain Jaise Muazzin Ya Fir Etikaf Wala Hi Aisa Kare, Uske Siwa Namaz Ke Liye Aane Wale Phone Charge Na Kare.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

23 Jan 2024

Kisi Shakhs Ke Paise Masjid Me Gir Jayen Aur Koi Lene Wala Na Ho To Paiso Ka Kya Kare?
Answer

Masjid Me Imam Sahab Ko De Diye Jayen Wo Jiske Honge Use De Denge. Koi Aur Use Utha Kar Na Rakhe.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

23 Jan 2024

Jahan Azan Ki Awaz Na Aaye Wahan Azan Dena Zaroori Hai?
Answer

Ilaqe Sheher Waghaira Ki Azan Ho Jana Namaz Ke Liye Kafi Hai Agarche Ap Tak Uski Awaz Na Aati Ho Lihaza Tanha Shakhs Ko Namaz Padhne Ke Liye Azan Iqamat Kehna Zaroori Nahi Hai, Albatta Keh Le To Harj Bhi Nahi.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

23 Jan 2024

Azan Ke Waqt Lete Hon To Uthke Baithna Farz Hai Ya Wajib? Isi Tarah Baat Karne Ka Kya Hukm Hoga?
Answer

Azan Ke Waqt Lete Rehna Gunah Nahi, Magar Behtar Ye Hai Ki Azan Ki Tazeem Ke Liye Uth Jaya Jaye Aur Qibla Rukh Ho Kar Baithe Aur Azan Ka Jawab De, Jabki Azan Ke Waqt Baton Me Mashgool Hona Aur Zyada Sakht Hai, Azan Ke Waqt Baat Karte Rehne Wale Ke Bare Me Ye Khof Kai Ki Uska Khatima Iman Par Na Hoga.