27 Sep 2023
Agar mange wala bina mic ke bhi aye or salam kare To uska Jawab bhi dena wajib nahi, Yani bheekari Mic pe salam sunaye ya fir khud samne aa kar salam Kare dono surato me Jawab wajib nahi, yani Jawab naa diya To gunah nahi, Jaise ki.
Bahar e Shariat Jild: 3 Safah: 461 par hai Saail ne darwaze par aa kar salam kiya, uska Jawab Dena wajib nahi. (magr is surat me Jawab de dena behtar hai)
25 Sep 2023
Musalman apas me bhai bhai hain, aur hadis me bhi yahi targib dilaai gai ki Apas me bhai bhai ho jao, Ab iske baad alag se or dil se koi rishta rakhna chahe to achha hai.
Magar ‐ Ye rishta mard aurat ke bich nahi hona chahiye, Is tarah ke rishte ko bhi sharait ne roka hai.
23 Sep 2023
Ye chane faqeer hi khaye , ghani ko khana nahi chahiye bachcha ho ya bada, ghani bachcho ko unke waliden mana kare,
Fatawa Razawiyya Jild: 09, Safah: 617
23 Sep 2023
Sharab peene se napak nahi hota, yani Ghusl farz nahi hota albatta wuzu jaata rahega Jaisa ki.
Bahar e shariat Jild: 1 Safah: 308 par hai Itna nasha ki chalne me paun larkharaye wuzu tor dega.
22 Sep 2023
Kapde pe chipkily (Lizard) gir jaye to kya bina kapde badle bina use dhule usme namaz pad sakte hai.
16 Sep 2023
Isme sharann koi harz nahi. Birthday par aitraz islye kiya jaata hai ki ye Gair kom ka tariqa hai magar aisa nahi hai ki Har wo kaam jo gair kom kare islam me najaiz nahi aurr saalgirah naa to gair kom ka mazhabi shiar hai Naa kisi kaum ki khas alamat.
Agar Birthday se muraad ye he ki kisi ki paidaish ke din khush hona Allah ka shukr ada karna aur is wajah se musalmano ko khana khilana ya chahe cake khilana ya jiska janamdin manaya jaa raha hai uski paidaish ki khushi mein us din quran khwani, meelad wagera karna, to isme kuchh gunah nahi,
Jabki isme koi kaam khilaf e shara naa ho Maslann, naach, gana mard aurat ka meljol Taali bajana wagera aur musalmano ko khilana pilana jaiz or shariat ko hamesha se mehboob hai.
15 Sep 2023
Dua me had se nahi badna chahiye yani Jo chize muhaal (Na‐mumkin) ho ya Kareeb ba‐muhal hai dua me nahi Mangni chahiye.
Durre mukhtar Jild: 2 Safah: 287 par hai Hamesha ke liye tandrusti ya affiyat mangna Ki aadmi ka umar bhar kabhi kisi tarah ki Taklif me naa padhna muhal e aadi hai.
11 Sep 2023
Hadis me jo shawwal ke rozo ki fazilat hai, Usme tarikh ki koi qaid meri nazar se nahi guzri.
Yani is maah me jab bhi chahe 6 roze rakhe Insha Allah wahi fazilat paa jayega jo farmane mustafa hai.
10 Sep 2023
Pura Sawal: Ek pilastik ki titli bani hui he us par is tariqe se rang laga he k us ka Munh aur aankh lagta he kya ye tasweer ke hukm main.
Ye tasweer ke hukm me hai, Har kism ki jaandar ki tasweer haram hai, Aur jis Kamre me ye hogi namaz makruh hogi. Taswir aur music ke bagair bachcho ke khilone Banana, khareedna, bechna, aur unke sath khelna Jaiz hai.
09 Sep 2023
Jin walion ka zikr sail ne kiya wo yaqeenan ba karamat wali hai. Magar mujooda dor me inko lekar kuchh jahilo me ikhtilaf hai.
Wo inki azmat zyada nahi mante yani inhe musalman to mante hai par zyada izzat se chhid jaate hai.
Yaha wo wali se muraad unki azmat ka inkar karte hai. Warna rutbe me kisi ko kisi se ghatate badate hai. Magar inhe Musalman or nek mante hai toh aise log jahil e mutlaq or gumrah hain.
06 Sep 2023
786 bismillah shareef ke adad hain. 92 Huzoor (علیہ السلام) ke naam e pak Muhammad (alyhisalam) ke adad hain.
29 Aug 2023
Farz Aur Sunnat e Moakkada Me Aise Hi Witr Me Teesri Rakat Me Sana Nahi Padhna Hai Balki Bismillah Padh Kar Surah Fatiha Padhe. Lekin Nafil Aur Sunnat e Gair Moakkada Ki Teesri Rakat Me Sana Padhna Afzal Hai Balki Nafil Aur Sunnat e Gair Moakkada Ki Doosri Rakat Par Attahiyat Ke Baad Durood e Ibrahimi Aur Duaye Masoora Padh Le Phir Teesri Rakat Ke Liye Khada Ho To Sana Padh Kar Shuru Kare Ye Afzal Hai