05 Jan 2024
Ye Zaroori Nahi Hai Ki Har Haram Cheez Ka Code E-476 Hi Ho Bahot Si Company Apni Sahuliat Ke Hisab Se Doosri Cheezo Ke Naam Bhi E-476 Rakhti Hai Lihaza Agar Company Kehti Hai Ki Isme Haram Cheez Mix Hai To Khana Najaiz Hai Warna Jaiz Hai.
05 Jan 2024
Gadha Sirf Us Gadhe Ke Nazdik Hi Halal Hai Lihaza Wo Gadha Agar Khana Chahe To Kha Sakta Hai Uska Zati Masala Hai, Albatta Musalmano Ki Ghiza Me Huzoor ﷺ Ne Gadha Khana Mana Farma Diya Hai Lihaza Uska Khana Musalmano Ko Jaiz Nahi.
05 Jan 2024
05 Jan 2024
Paan Khana Mubah Hai Na Sunnat Na Wajib Baaz Aulia Se Sabit Hai Jaise Ala Hazrat Nizamuddin Auliya Waghaira.
05 Jan 2024
Ji Haan Tambe Ke Bartan Me Khana Peena Jaiz Hai Magar Us Par Kalai Kiya Gaya Ho Bina Kalai Ke Khana Peena Makruh Hai (Kalai Ek Silver Coting Hoti Hai Bartan Par)
05 Jan 2024
Ji Han Kha Sakte Hain Halal Hai, Magar Sehet Ke Lihaz Se Chicken Khana Sahi Nahi.
05 Jan 2024
Jo Log Aise Jahilana Suwal Karte Hain Unse Kaha Jaye Ki Halal Sirf Jandar Ko Hi Kiya Jata Hai Ghair Jandar Ko Halal Karne Ki Zaroorat Nahi Jaise Anda Sabzi Chawal Waghaira.
05 Jan 2024
05 Jan 2024
Ji Han Kha Sakte Hain.
05 Jan 2024
Cheese Khane Me Kya Dikkat Hai ? Agar Jaiz Cheezo Se Tayyar Hai To Kha Sakte Hain.
05 Jan 2024
Har Wo Machli Jo Khai Jati Hai Aur Khai Ja Sakti Hai Uska Khana Halal Hai, Har Wo Machli Jo Zehrili Hoti Hai Aur Khane Se Maut Waqe Hogi Uska Khana Jaiz Nahi.
05 Jan 2024
Pura sawal: Zaid Hotel, Restaurant Ya Kisi Program Me Khana Khane Gaya Aur Wahan Koi Kufriya Gana Baja Aur Jo Usme Kufriya Alfaz The Wo Baje Aur Zaid Wahin Maujood Hai To Kya Hukm Hoga?
Wapas Aa Sakta Hai Bina Khaye Aur Khana Le Kar Gano Se Alag Ho Kar Bhi Kha Sakta Hai Jahan Saf Awaz Na Aati Ho Magar Khana Ghar Na Laye.