Sunni | Hanafi | Barelwi | Visit English Site

Inshort Category: Wuzu

Sikander Warsi
Sikander Warsi

07 Jan 2024

Wuzu Karte Hain To Kulli Me Blood Aa Jata Hai, Wuzu Kaise Kare?
Answer

Agar Kulli Me Pani Ka Rang Zyada Surkh Hai Yani Khoon Ka Ghalba Hai To Wuzu Fir Se Kare Thora Khoon Rukne Ya Thukne Ke Bad Agar Halka Magar Pani Me Mil Gaya Aur Pani Ke Rang Ka Ghalba Hai To Wuzu Ki Hajat Nahi.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

07 Jan 2024

Chappal Pahen Kar Wuzu kar sakte hai?
Answer

Zaroorat Ho To Chappal Pahen Kar Wuzu Kar Sakte Hain Wuzu Par Isse Farq Nahi Ayega.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

07 Jan 2024

Ba Wuzu shaks Namaz Ke Liye Dobara Wuzu Karega To Israf Hoga?
Answer

Nahi, Kyun Ki Har Namaz Ke Liye Naya Wuzu Kiya Ja Sakta Hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

07 Jan 2024

Kya Gents Toilet ke pass Nal (tap) se wuzu Kar Sakte Hain?
Answer

Ho Jayega, Magar Behtar Hai Ki kahi Aaspas Doosra Intezam Dekhe Warna Pani Bhar Kar Kahin Doosri Saf Jagah Wuzu Karen.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

07 Jan 2024

Wuzu Me Sukhe Hath Se Sar Ka Masah Karna Kaisa?
Answer

Wuzu Me Sar Ke Masah Ke Liye Hatho Ka Geela Hona Yani Pani Ki Tari Baki Hona Zaroori Hai, Sookhe Hatho Se Masah Karna Na Karna Barabar Hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

07 Jan 2024

Kya Bina Wuzu Ke Sajda e Shukr Kar Sakte Hain?
Answer

nahi, kyunki sajda e shukr ke liye ba-wuzu hona zaruri hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

07 Jan 2024

Jis Lote Se Baitul Khala Me Istinja Kiya Ussey Wuzu Ho Jayega
Answer

Wuzu Ho Jayega, Behtar Hai Upar Se Dho Liya Jaye.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

07 Jan 2024

Wuzu Ke Baad Jo Pani Jism Se Tapakta Hai usey Towel se poch Sakte Hain?
Answer

Wuzu Ke Baad Jism Se Agar Zyada Pani Tapakta Ho To Saaf Kar Sakte Hain, Koshish Ki Jaye Ki Poora Khushk Na Kare Yani Wuzu Ki Tari Aza Par Baqi Rahe.