Sunni | Hanafi | Barelwi | Visit English Site

Inshort Category: Taharat

Sikander Warsi
Sikander Warsi

23 Jan 2024

Najasat Lagi Kapde Dhobi Se Dhul Kar Aayen To Kya Pak Mane Jayenge?
Answer

Napak Kapdon Ko 3 Bar Dhona Wajib Nahi Hai Balki Toti Me Achche Se 1 Bar Hi Dho Liya Jaye To Bhi Pak Hoga Lihaza Dhobi Se Aaye Dhule Kapde Pak Samjhe Jayenge Jab Tak Us Par Kuch Najasat Ka Asar Na Ho.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

23 Jan 2024

Ghusl Ke Darmiyan Hawa Kharij Ho Jaye To Ghusl Ke Bad Fir Se Wuzu Banana Hoga?
Answer

Ji Han, Ghusl Ke Bad Fir Se Wuzu Bana Lena Kafi Hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

23 Jan 2024

Napaki Me Taweez Pehenne Se Kya Taweez Ke Asar Par Fark Padega?
Answer

Taweez Agar Ache Se Plastic Aur Kapde Me Pack Hai To Uska Napak Shakhs Ko Pehenna Chuna Jaiz Hai Asar Me Bhi Koi Kami Na Hogi.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

23 Jan 2024

Mobile Napak Jagah Gir Jaye To Use Kaise Pak Karen?
Answer

Mobile Par Napaki Lag Jaye To Use 3 Naye Pani Se 3 Bar Saf Kapde Se Achchi Tarah Saf Kar Le, Aur Har Bar Saf Karke Us Kapde Ko Fir Saf Pani Se Dhoye Nichodkar Achche Se Fir Saf Karen.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

23 Jan 2024

Agar Sote Waqt Ehtlam Ho Jaye Aur Kapdon Par Koi Tari Ya Nami Na Paye Aur Private Part Par Bhi Kuch Na Laga Ho?
Answer

Agar Khwab Me Ehtlam Hona Yaad Hai Magar Kapdo Par Koi Nishan Nahi To Ghusl Farz Nahi.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

04 Jan 2024

Gusal Ke Baad Napak Kapda pehen sakte hai?
Answer

Ji Haan, pehen to sakta hai, jabki waqai ab koi nishan baki naa ho. Magar behtar yahi hai, Jis hisse par wo napaki thi us hisse ko dho liya jaye. 

Bahar e Shariat Jild:1 Page: 400 par hai, “Mani kapde me lag kar khushk ho gai to kewal mal kar Jharne aur saaf karne se kapda paak ho jayega.” 

Aur ghusl ke baad napak kapde pehnne se koi shaksh napak Nahi hota. Aur agar kapde ki najasat jism pe lag bhi jaye To bas jism ka wahi hissa dhona kafi hai, fir ghusl zaruri nahi hota.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

04 Jan 2024

Kya haiz wali aurat masjid jaa sakti hai?
Answer

Nahi jaa sakti, Kyunki napaki ki halaat me masjid me jana mard aur aurat dono ko HARAM hai.

Bahare shariat me masjid me aadab bayan karte hue farmate hai. Haiz wa nifas wali aurat ko masjid ki chhat (terrace) par (bhi) jana haram hai kyunki wo bhi masjid hi ke hukm me hai (Bahare shariat Jild: 1, Page: 645)

Jis ke badan par najasat (gandagi) lagi ho use masjid me jaana man'a hai (Durr e Mukhtar Jild: 2 Page: 517)

Bachcha or pagal jinse gandagi ka khatra ho, masajid lana haraam hai (Bahare shariat Jild: 1, Page: 645)

Sikander Warsi
Sikander Warsi

04 Jan 2024

Kya Suwar (pig) ka naam lene se zuban 40 din tak napak ho jati hai?
Answer

Suwar ka naam lene se zuban 40 din tak napak rehti hai, ye bat fizool batil hai, Magar kisi ko bila wajah gaali ke tor par suwar (PIG) kehna haram hai. 

Aur agar jab iska naam lena jaiz to hai magar Iska matlab ye nahi ki bila wajah naam ki maala Jape, aur jo baat mashoor ho gai jo suwal me darj hai Shayad isliye ho ki taaki log, is dar se bila wajah kisi ko ye naa kahen. Aur Jahan Quran me suwar ka naam aya hai, agar wo Ayat ba'tor e ibadat padhega to sawab bhi payega.