05 Jan 2024
Khane Peene Ki Cheez Me Agar Napaki (Ghaliza) Gir Jaye To Wo Khana Napak Ho Jayega Use Khana Peena Jaiz Nahi, Albatta Aise Suwal Me Zaroori Hai Ki Najasat Bhi Bayan Ki Jaye Ki Kya Gira Hai.
05 Jan 2024
04 Jan 2024
Is daur ke bhikario se mera bharosa to udh chuka hai Kyunki ab ye unka pesha hai, majburi nahi, Aur jo kamane par qadir ho thik thak ho to aise Musalman ko bhi nahi dena chahiye. kafir to dur.
Aur kafir ki bila wajah madad nahi karni chahiye. Koshish kare sharai fakir ko hi den, Jo Allah سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ ka naam le use bheek dena zaruri ho jata hai Shariat me iske koi mayne nahi. Kal kafir bheekari Allah سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ ke naam par makan ke kagaz mang betha to?
04 Jan 2024
Qasam khana jaiz hai or jahan tak ho bachna behtar hai. Khuda ke alawa kisi ki qasam, qasam nahi hoti.
Jaise ki Bahare‐shariat Jild:2 Page:298 me hai: khuda ke alawa kisi ki qasam khana makruh hai, aur ye qasam hoti bhi nahi. Yani ise torne se kaffara lazim nahi.
04 Jan 2024
India (Hind) ke bank se jo extra raqam (interest) milti hai wo jaiz hai. Wo sood nahi hai.
03 Jan 2024
Zina gunah e kabeera or jahannam me le jaane wale kaam hai, or ye gunah sachi toba se hi maaf hoga. Yani is harkat e khabeesa wa fail e ibleesi par dil se toba kare. Or ainda na karna ka sacha wada. Nekiyon ki kasrat kare, Is harkat ke liye fil waqt koi kaffara nahi.
29 Sep 2023
04 Sep 2023
Haram haram haram. Ladki bankar kisi ko dhoka dena haram. Dhoka de kar phone me recharge karwana haram. Aur aise fel e haram se sache dil se toba karna wajib hai. Aur use sach bata kar paise wapas dene ki surat nikale. Warna maaf karye. Ye paise uske zimme baki rahenge ki is tarah dhoka dena kafir ko bhi jaiz nahi. Aur musalman ho kar musalman ladki kaa naam istimal karna ala darje ki behayai.