Sunni | Hanafi | Barelwi | Visit English Site

Learn InShort

Sikander Warsi
Sikander Warsi

04 Jan 2024

Hawa kya hai, kis chiz se bani hai?
Answer

Hawa Allah سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ ki ek purani makhlook hai, Paani se banai gai hai Aur iske liye ilm e ilahi me ek khazana hai Jis par darwaza laga hai aur weh band hai Jis par ek firishta hai, Jitni hawa usme se rab bhejna chahta hai, firishte Ko hukm deta hai aur firishta Allah سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ ke hukm se Utna hissa hawa ka rawana kar deta hai (Fatawa Razawiyya Jild: 27 Safah:100)

Sikander Warsi
Sikander Warsi

04 Jan 2024

Naapak ke halat mein maiyyat ko mitti dena ya Qabristan dakhil hona kaisa hai?
Answer

Naapaki ki halat me mayyat ko mitti bhi de sakte hai or Qabristan me bhi dakhil ho sakte hai, magar behtar yahi ki paki hasil ki jaye. Aur isme karahat makruh ki hai haram ki nahi.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

04 Jan 2024

Nafil Namaz Beth Kar Padhne Se Behtar Hai Ya Khade Ho Kar
Answer

Nafil namaz bina majburi bhi beth kar padhna jaiz toh hai magar beth kar padhne se, khade ho kar padhne ki nisbat adha sawab milega. Jaisa ki hadis me farmaya: 

HADIS: beth kar padhne wale ki Namaz Khade ho kar padhne wale ki aadhi hai, (Muslim Shareef) 

Haan, agar kisi majburi me beth kar padega To sawab me kami naa ayegi, aur ye jo aajkal nafil bethkar padhne ka riwaz bana rakha hai or samajhte hai ki nafil beth kar hi padhne chahiye ye ghalat hai, khade ho kar Hi padhna afzal hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

04 Jan 2024

Asman me jo Bijli Chamakti hai wo kaise Chamakti hai?
Answer

Allah azzawajal ne badalo ko chalane ke liye ek firishta Muqarrar farmayaa hai, Aur iske hath me ek bada koda(hunter) hai, Jab wo koda badal ko marta hai, uski tari se aag jharti hai Jiska naam bijli hai (Fatawa Razawiyya Jild: 27 Safah: 93)

Sikander Warsi
Sikander Warsi

04 Jan 2024

Kya Murde ke Dafn Ke Baad Hatho Ko Jharna mana hai?
Answer

Hath Jharne (saaf karne) me koi harz nahi, Jabki taali ki awaaz naa aye, Ki Durr e mukhtar wa fatawa shami me hai Taali banaja HARAM hai, Aur awaz naa aye to harz nahi (or ghaliban ye manahi bhi isilye thi ki tali naa baje Magar log ise jahalat ki taraf le gaye, ki hath hi jharna Mana samjhne lage).

Iska Jawab dete huye Mufti Amjad Ali Azami, Bahar e shariat Jild:1 Page:845 Farmate hai:

“Hath me jo mitti lagi hai, use jhar den, Ya dho daalen Ikhtiyaar hai.”

Sikander Warsi
Sikander Warsi

04 Jan 2024

Murda Ko Qabr Mein Rakhne Ke Baad Kafan Ke Bandh Kholna chahiye ya nahi?
Answer

Sari bandhish Kholna, yaa naa kholna dono ikhtiyaar hai.

Jaisa ki, Sadr‐us‐sharia, Badru‐tariqa, Maulana Muhammad AMJAD ALI AZAMI (Alaihirrehma) Apni Shohra e afaaq Tasneef Bahar e shariat Jild:1 Page: 844 Par Farmate hain “Qabar me rakhne ke baad kafan ki bandish khol den, Ki ab zarurat nahi, Or naa khole to bhi harz nahi.”

Sikander Warsi
Sikander Warsi

04 Jan 2024

Tahajjud ki namaz me kitni rakat padhna chahiye?
Answer

Kam se kam tahajjud ki 2 rakat hai or Huzoor عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ se 8 tak sabit hain. (Bahar-e‐shariat)

Sikander Warsi
Sikander Warsi

04 Jan 2024

Namaz e Tahajjud padhne ka kya waqt hai?
Answer

Tahajjud ka koi waqt mukarrar nahi hai. Baad Isha, kuchh der so jaane ke baad bhi Padhi jaa sakti hai. Soye bager padhe to tahajjud nahi. Aur logo me jo ye mash'hoor hai ki 12 ke bad tahajjud ka waqt hota hai ye ghalat hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

04 Jan 2024

Agar kisi ne Mohammad ﷺ ki qasam kha kar tori to kya kaffara hai?
Answer

Qasam khana jaiz hai or jahan tak ho bachna behtar hai. Khuda ke alawa kisi ki qasam, qasam nahi hoti.

Jaise ki Bahare‐shariat Jild:2 Page:298 me hai: khuda ke alawa kisi ki qasam khana makruh hai, aur ye qasam hoti bhi nahi. Yani ise torne se kaffara lazim nahi.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

04 Jan 2024

Fatiha ka sahi tariqa irshad farmaye
Answer

Fatiha asl me isaal e sawab hai.

Awwal Aakhir Durood Sharif padh kar jo Quran padhna chaho Padh kar isaal kar do. Iske bahut se tariqe hai. jo buzurgo Se sabit hai.

Aur mash'hoor wahi hai. ki Koi bhi ayat, fir, 1 Surah Kafirun, surah Ikhlas 1‐1 surah Falak or naas 1 surah Fatiha Fir, surah Baqra ki kuchh ayate (alif,laal, meem) Or baz log ayat‐al kursi padhte hai, Sab jaiz hai.

Jo padho aur me To Surah ikhlas 12 bar padhta hu Isse 4 quran ka swab milta hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

04 Jan 2024

Kya India ke bank se jo interest milti hai woh jaiz hai
Answer

India (Hind) ke bank se jo extra raqam (interest) milti hai wo jaiz hai. Wo sood nahi hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

04 Jan 2024

Khushu aur khuzu namaz mein kya hota hai?
Answer

Ye dil ki kaifiyat ka ek naam hain Aur Firoz Ul Lughaat safe:591‐592 par hai Khushu: ajizi, gidgidana, Khuzu:‐ ajizi, gidgidana.

Namaz me is tarah hasil kiya jaye, Ki banda jab namaz ko khada ho to bas ye Samajh le ki ye uski zindagi ki akhri namaz hai Fir use koi moka nahi milna. Isi namaz ko Jitna achcha or behtar, dil laga kar padh lu to achha hai. Kyunki aaj kal dil me khyalat itne aate hai ki ye Tasawwur nahi jam pata ki Allah dekh raha hai Or naa ye ki ham Allah ko dekh rahe hai.