04 Jan 2024
Gustakh e rasool beshak kafir hai. Aur uski saza siwaye maut ke kuchh nahi. Usse tauba karwai jayegi or bad tauba ke use maut ki Saza ki jayegi, tauba ke bad bhi maut isilye ki tauba ka Ye faida hoga isse uski namaz e janaza ho sakti hai.
Aur agar tauba naa kare to bhi maut ki saza hai magar Ab namaz e janaza bhi nahi padhi jayegi, Aur ye kaam hukumat e islamia ka hai, badshah e islam Saza dene par qadir hoga, Aur fi zama hukumat islam ki nahi to hukm ye hai ki Aise shaks ko kanoon ke hawale kiya jaye. Awam ko kanoon hath me lene ki ijazat nahi hogi.
04 Jan 2024
Ye baat logo me aam hai or awam isse waqif bhi Shayad Nahi hoti ki Quran wagera me Alif se allah hota hai Ya hamza se, Aur mera zan ghalib hai ki log yahi samjhte honge Ki alif se Allah hota hai, jabki arabi me jis Alif par Zabar zer pesh wagera ho use Alif nahi hazma kehte hain.
Ye jo ALIF se ALLAH bola or padhaya jaata hai Ye urdu zuban me hota hai,
Aur kyunki Quran arabi me hai to arabi me HAMZA se ALLAH hota hai.
Yani hijje is tarah padhi jayegi Hamza + Lam zabar = AL,
Tajweed ke qaide ke hisab se Alif use kaha jata hai, jis par harkat (zer, zabar wagera) Nahi hoti, Aur jis alif par harkat ho chahe ek ya do to use hamza kehta hai.
04 Jan 2024
Pura Sawal: Baz log tilawat e Quran karte hain khas kar ramazan me bina hi awaz ke or isi tarah qurankhwani me, bache yani chupchap ungli chalate rehte he Aur yahi hal gharo me aurato ka hota hai, toh is tarah Quran be‐ awaz padha hua hai ya nahi, iseu isal e sawab kar sakte hain ya nahi.
Baghair awaz mehez Dil me quran ko padhne ya sirf dekhne se Padhne ka sawab NAHI milega, Sirf dekhne ka milega, or use chhune ka (agar ungli rakh ke padha).
04 Jan 2024
Ji Haan, pehen to sakta hai, jabki waqai ab koi nishan baki naa ho. Magar behtar yahi hai, Jis hisse par wo napaki thi us hisse ko dho liya jaye.
Bahar e Shariat Jild:1 Page: 400 par hai, “Mani kapde me lag kar khushk ho gai to kewal mal kar Jharne aur saaf karne se kapda paak ho jayega.”
Aur ghusl ke baad napak kapde pehnne se koi shaksh napak Nahi hota. Aur agar kapde ki najasat jism pe lag bhi jaye To bas jism ka wahi hissa dhona kafi hai, fir ghusl zaruri nahi hota.
04 Jan 2024
Quran e majeed para 18, surah muminon ayat 100 Me hai “Aur unke aage ek aar hai”.
Is ayat ki tafseer me khazainul Irfan me hai ki, Baaz mufassireen ne kaha ke barzakh Waqt e maut se waqt e ba'as tak ki muddat hai.
Bahare shariat Jild: 1 Page: 98 par hai: Dunya aur akhirat ke darmiyaan ek aur alam hai Jise aalm e barzakh kehte hai.
04 Jan 2024
Nahi jaa sakti, Kyunki napaki ki halaat me masjid me jana mard aur aurat dono ko HARAM hai.
Bahare shariat me masjid me aadab bayan karte hue farmate hai. Haiz wa nifas wali aurat ko masjid ki chhat (terrace) par (bhi) jana haram hai kyunki wo bhi masjid hi ke hukm me hai (Bahare shariat Jild: 1, Page: 645)
Jis ke badan par najasat (gandagi) lagi ho use masjid me jaana man'a hai (Durr e Mukhtar Jild: 2 Page: 517)
Bachcha or pagal jinse gandagi ka khatra ho, masajid lana haraam hai (Bahare shariat Jild: 1, Page: 645)
04 Jan 2024
Is Suwal ka Jawab dete huye, Mere Aaqa Ala-Hazrat Imam Ahle Sunnat Farmate hai, Namaz me koi khalal nahi aata, nikalne wala Gunahgaar hota hai.
04 Jan 2024
04 Jan 2024
Suwar ka naam lene se zuban 40 din tak napak rehti hai, ye bat fizool batil hai, Magar kisi ko bila wajah gaali ke tor par suwar (PIG) kehna haram hai.
Aur agar jab iska naam lena jaiz to hai magar Iska matlab ye nahi ki bila wajah naam ki maala Jape, aur jo baat mashoor ho gai jo suwal me darj hai Shayad isliye ho ki taaki log, is dar se bila wajah kisi ko ye naa kahen. Aur Jahan Quran me suwar ka naam aya hai, agar wo Ayat ba'tor e ibadat padhega to sawab bhi payega.
03 Jan 2024
Zina gunah e kabeera or jahannam me le jaane wale kaam hai, or ye gunah sachi toba se hi maaf hoga. Yani is harkat e khabeesa wa fail e ibleesi par dil se toba kare. Or ainda na karna ka sacha wada. Nekiyon ki kasrat kare, Is harkat ke liye fil waqt koi kaffara nahi.
02 Jan 2024
Musafir ko sunnat me koi qasr nahi. Lihaza agar zohar ki farz jamat se padh liye or shuru ki 4 sunnat naa padh paya to bad me padhe.
Ab raha ye ki ye sunnat, 2 rakat sunnat ke bad padhe ya pehle. Toh isme ikhtiyar hai, Ki bad me pade ya pehle or behtar yahi hai ki, pehle 2 sunnat padhe or 4 rakat jo chhut gai wo bad me.
01 Oct 2023
Chain wali ghadi pehenkar namaz padhne Se namaz ho jayegi, albatta isse bachna behtar Hai, kyunki isme ulama ahle sunnat ka ikhtilaf hai, Or ikhtilafi masail se bachna mustahab hai, Behtar yahi he ki dauran e namaz ise utar diya jayejaye