05 Jan 2024
Kufr Nahi Hai Keh Diya Jata Hai.
05 Jan 2024
05 Jan 2024
Haan, Waswase Kufirya Hain Magar Waswaso Se Kafir Nahi Hote Albatta Lahol Ki Kasrat Karen.
05 Jan 2024
Haan, Isme Koi Harj Nahi, Wo Tamam Makhlooq Ka Rab Hai Aur Kaba Bhi Makhlooq Hai.
05 Jan 2024
05 Jan 2024
Allah Ke Bare Me Aisa Khayal Kufr Hai Kehne Wale Par Tauba Fir Se Iman Lana, Aur Shadi Shuda Tha To Fir Se Shadi Karwana Chahiye.
05 Jan 2024
Ji Han, Khwab Me Allah Ka Deedar Karna bilkul Mumkin Hai.
05 Jan 2024
Ji Han, Jo Sher Apne Likha Hai Uska Padhna Haram Hai Aur Ye Aqeeda Shirkiya Hai.
05 Jan 2024
Urfiya Jumla Hai Kufr Nahi Hai.
04 Jan 2024
Mitti chahe Qabristan ki ho ya kaisi bhi, Fitrat e insani yahi hai ki use dhoya jata hai Or yahi takaza e bashariat bhi hai ki, jism ko Har choti badi gandagi se saaf rakha jaye. To is mitti ko dhone me koi harj nahi magar Ye khyal ki ghar jaane se pehle hi dhona chahiye Yani ye mitti ghar naa jaye ghalat hai, ghar jaa kar Bhi dho liya jaaye to harj nahi.
Aur mere khayal se ye is tarah shuru hua hoga, ki Jaise bachcha baahar khel kar aata hai to use nasihat Ki jaati hai ghar me gande hath paun lekar mat Ana isi tarah qabristan ki mitti lage hath paun Koi gande ghar lejana pasand nahi karega, to Bahar hi dho lete hai, magar isse kuchh jahil ye samajh Bethe honge ki shayad hath paun bahar hi dhone Chahiye, kyunki is daur e purfitan me log rassi ko bhi Sanp bana dete hai.
04 Jan 2024
Pura suwal: Ghar me bachche khana khane ke bad Plate me kuchh salan chhor dete hain, to kya Unhe gunah milega, isme kya kara jaye?
Pehle to ye ki bachche agar nabaligh hai to unpe Gunah to nahi magar jaiz kaam ka Suwal zarur hai, Dusri baat ye apne nahi batai ki khanae bachche Khud nikal kar khate hai ya aap unhe deti hain, Agar saalan aap bachcho ko deti hain to plate me hi Kyun nikal kar deti ho ? poori haandi hi unke aage Rakh diya karo, naa plate me niklega naa bachega?
Khud jab bachcho ko saalan zyada nikal kar deti ho To bachche ki khuraq kitni hogi, Aur ghar me rehte huye aurato ko har shaks ka Andaza ho jata hai ki kaun kitna khata hai? Fir usi hisab se salan nikala jaye, chahe 10 bar do, Magar pehle hi baar me bachcho ki plate bhar di jayegi To yahi hoga, aur bacha hua salan bhi ghar me koi istimal kar sakta hai Agar use aap fenk deti ho to is barbadi e rizq ke Zimmedar aap hain bachcha nahi.
04 Jan 2024
Is daur ke bhikario se mera bharosa to udh chuka hai Kyunki ab ye unka pesha hai, majburi nahi, Aur jo kamane par qadir ho thik thak ho to aise Musalman ko bhi nahi dena chahiye. kafir to dur.
Aur kafir ki bila wajah madad nahi karni chahiye. Koshish kare sharai fakir ko hi den, Jo Allah سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ ka naam le use bheek dena zaruri ho jata hai Shariat me iske koi mayne nahi. Kal kafir bheekari Allah سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ ke naam par makan ke kagaz mang betha to?