05 Jan 2024
Agar Woh Shakhs Taharat Se Waqif Hai Aur Janaze Ki Namaz Sahi Padha Sakta Hai Aur Usse Behtar Wahan Koi Nahi Toh Namaz Padh Lena Chahiye, Janaze Ki Namaz Aam Namaz Ki Nisbat Asan Hai.
05 Jan 2024
Har Insan Ke Sath Imama Sharif Ki Ijazat Ulama Ne Nahi Di, Albatta Peer, Alim, Imam, Sayyed, Deeni Peshwa, Badshah Waghaira Ko Imama Ke Sath Dafan Kiya Ja Sakta Hai.
05 Jan 2024
Ja Sakte Hain Agar Koi Apna Hai Toh.
Jabki Napak Mard Na Jaye To Behtar Hai, Use Pehle Ghusl Karna Chahiye Magar Aurat Haiz Me Ghusl Nahi Kar Sakti Isilye Karibi Ho To Dekh Le.
05 Jan 2024
Allah Ki Yaad Ya Mohabbat Me "Miss You Allah" Kehne Ma Harj Nahi.
05 Jan 2024
05 Jan 2024
Allah Ke Liye Lafz Muhafiz Hota Hai Na Ki Bodyguard Kyun Ki Bodygurad Baaz Surat Me Sirf Person (Makhlooq) Ki Hifazat Karta Hai Jaisa Ki Naam Se Zahir Hai Body (Personality) Ki Hifazat Karne Wala. Aur Wo Kabhi Kabhi Bachane Me Nakaam Bhi Ho Jata Hai Jabki Allah Insan Ke Alawa Janwar Aur Tamam Makhlooq Ka Muhafiz Hai Na Sirf Jaan Ka Balki Rizq Ka Bhi. Aur Wo Apne Kaam Me Nakaam Nahi Hota, Lihaza Allah Ke Liye Bodyguard Bolna Nihayat Kam Aqali Hai.
05 Jan 2024
1. Hayat 2. Qudrat 3. Sunna 4. Dekhna 5. Kalam 6. Ilm 7. Irada
05 Jan 2024
Ilm-e-Zaati Ka Ye Maana Hai Ki Be Khuda Ke Diye Khud Hasil Ho.
Ilm-e-Zaati Allah Ta'ala Ka Khass Hai.
05 Jan 2024
Allah Ta'ala Ke Abadi Hone Se Murad Ye Hai Ke Wo Humesha Rahega.
05 Jan 2024
Allah Ta'ala Ke Qadeem Aur Azali Hone Ka yeh Matlab Hai Ki Woh Hamesha Se Hai.
05 Jan 2024
Zaat e Baari Ta'ala Ko Wajib Ul Wujood Kehte Hain. Aur Isse Murad Wo Zaat Hai Jiska Wujood Zaroori Ho.
05 Jan 2024
Na Kufr Na Haram, Kasrat Ke Liye Istemal Hota Hai.