Sunni | Hanafi | Barelwi | Visit English Site

Learn InShort

Sikander Warsi
Sikander Warsi

05 Jan 2024

Kya Fatawa Razviya Me Huzoor ﷺ Ki Wiladat 8 Rabi ul Awwal Hai?
Answer

Huzoor Purnoor ﷺ Ki Tarikh e Wiladat 12 Rabi ul Awwal Hai, Aur Yahi Fatawa Razviya Me Naql Hai, Fatawa Razviya Me 8 Rabi ul Awwal Batane Wale Ko Kitab Ki Ibarat Padhne Ki Qabiliyat Nahi Hai, Wahan 8 Rabi ul Awwal Ki Nafi Likhi Hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

05 Jan 2024

Kya Huzoor ﷺ Aur Tamam Ambiya, Sahaba, Auliya Apni Qabro Me Zinda Hote Hain Aur Imdad Karte Hain?
Answer

Tamam Ambiya Zinda Hote Hain, Aur Allah Wale Bhi, Magar Baz Walion Ko Bad e Wafat Bhi Imdad Ki Quwwat Di Jati Hai Agarche Ye Mamla Sabke Sath Nahi Hai, Magar Aam Insan Ka Ye Tay Kar Pana Mushkil Hai Ki Kis Wali Ka Martaba Bada Hai Lihaza Wo Sabke Sath Adab Ka Mamla Rakhte Hain, Kyun Ki Qabar Me Nek Momin Ko Bahar Ki Khabar Hoti Hai Wo Sunta, Janta, Dekhta, Mehsus Karta Hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

05 Jan 2024

Namaz Ke Baad Madina Shareef Ki Taraf Rukh Karke Allah Ke Rasool ﷺ Se Dua Karna (Mangna) Kaisa?
Answer

Farz Namaz Ke Bad Foran Allah Se Dua Ki Jaye, Ki Isi Ki Targheeb Dilai Gai Hai Fir Bad Dua Farigh Ho Kar Nabi e Kareem ﷺ Ki Bargah Me Salat o Salam Pesh Kiya Jaye Fir Dua Kar Li Jaye Ki Nabi Allah Ki Ata Se Hajat-Rawa Hain.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

05 Jan 2024

Sikander Warsi
Sikander Warsi

05 Jan 2024

Kya Ghair Momin Ko Quran Padhke Dam Kar Sakte Hain?
Answer

Han Kar Sakte Hain Agar Wo Khud Kahe Aisa Karne Ko, Ki Ye Uske Dil Me Quran Aur Islam Ki Azmat Dikhata Hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

05 Jan 2024

Kya Quran Ka Tarjuma Padhne Se Gumrah Ho Jate Hain?
Answer

Suwal Adhura Hai, Ho Bhi Sakte Hain Aur Nahi Bhi, Agar Tarjuma Padh Kar Uska Matlab Apni Aqal Se Khud Nikalne Laga Aur Kuch Ka Kuch Matlab Nikalega To Zaroor Gumrah Ho Jayega.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

05 Jan 2024

اَلاْ فِرقُ اَشَدُّ مِنَ الْمَوت۔ Judai Maut Se Zyada Sakht Hai, Kya Ye Ayat Quran Me Hai?
Answer

Ye Koi Qurani Ayat Nahi Hai, Aur Isme Maut Se Murad Ye Hai Ki Kabhi Kabhi Kisi Ki Judai Maut Ki Tarah Sakht Ho Jati Hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

05 Jan 2024

Kya Hum Bina Wuzu Ke Apne Mobile Me Quran Paak Sun Sakte Hain?
Answer

Mobile Mp3 Me Quran Sunne Ke Liye Wuzu Ka Hona Zaroori Nahi Balki Ghusl Ka Hona Bhi Zaroori Nahi.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

05 Jan 2024

Haiz Ke Dino Me Quran Ka Tarjuma Padhna Kaisa hai?
Answer

Quran Ka Tarjuma Chahe Farsi Urdu Me Ho Ya Kisi Aur Zuban Me Uske Padhne Aur Chune Me Quran Hi Ke Hukm Me Dakhil Hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

05 Jan 2024

40 Din Surah Jinn Padhne Se Kya Koi Nuksan Hota Hai Ya Jin Aa Jata Hai?
Answer

Agar Sirf Quran Padhne Ki Niyat Se Padh Rahe Hain To Nahi, Agar Koi Amal Kar Rahe Hain Khud Se Aur Amaliyat Ke Bare Me Jante Nahi To Shayad.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

05 Jan 2024

Ek Din Me Poora Quran Padh Sakte Hain?
Answer

Ek Din Me Quran Is Tarah Padhna Ki Jaise Record Banana Ho Ya Naam Karna Ho To Aisa Shakhs Sirf Apne Ko Takleef Me Dalta Hai, Kyun Ki Aise Me Wo Shakhs Khulus Ke Sath Nahi Padhega, Lihaza Kam Se Kam 3 Din Me Poora Kiya Jaye.