Sunni | Hanafi | Barelwi | Visit English Site

Learn InShort

Sikander Warsi
Sikander Warsi

05 Jan 2024

Khatm e Nubuwwat Ka Dawa Karne Wala Kafir Hai?
Answer

Nahi, Ye Hi Imaan Hai Yani Nabi ﷺ Ka Akhri Nabi Hona.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

05 Jan 2024

Ya Rasool Allah Kehna Kaisa - Aksar Log Is Ko Shirk Bolte Hain?
Answer

Ya Rasoolallah Kehna Jaiz Hai Aur Musalman Aisa Kehte Bhi Hain, Jo Ise Shirk Kehte Hain Unka Islam Se Khas Talluq Nahi Hai, Lihaza Unki Baato Par Dhyan Na Diya Jaye Ki Kaun Kya Kehta Hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

05 Jan 2024

Nabi Kise Kehte Hain?
Answer

Jis Insan Ko Allah Ne Hidayat Ke Liye Wahi Bheji Ho Use Nabi Kehte Hain.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

05 Jan 2024

Rasool Kise Kehte Hain?
Answer

Ambiya e Kiram Me Se Jo Allah Ki Taraf Se Nayi Aasmani Kitab Aur Nayi Shariat Lekar Aayein Wo Rasool Kehlate Hain.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

05 Jan 2024

Nabi Ko Allah Ka Ghulam Kehna Kaisa?
Answer

Nabi Ya Kisi Insan Ko Bhi Allah Ka Ghulam Yani Ghulamullah Nahi Kehna Chahiye, Abdullah Hi Kaha Jaye.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

05 Jan 2024

Kya 12 Rabi Ul Awwal Sharif Huzoor ﷺ Ki Paidaish Ka Din Hai Aur Usi Din Unki Wafat Hui Thi?
Answer

Han Yahi Mashhoor Hai Ki 12 Hi Ko Aap ﷺ Ki Wafat e Zahiri Hui Thi Baki Jise Gham Karna Hai Kar Le Magar Kare To Hum To Wiladat Ki Khushi Karenge.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

05 Jan 2024

Kya Durood Ki Fazilat Youtube Ya Social Media Par Comment Likhne Se Hasil Ki Ja Sakti Hai?
Answer

Ji Han Allah Ne Chaha To Zaroor Sawab Milega Online Likhne Par Bhi

Sikander Warsi
Sikander Warsi

05 Jan 2024

Kya Khizr عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ Ne Aab e Hayat Piya Hai Aur Wo Subho Qayamat Tak Zinda Rahenge?
Answer

Jamhoor Ulama Ka Yahi Qol Hai Ki Aapne Aab-e-hayat Piya Hai Aur Qayamat Tak Zinda Rahenge.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

05 Jan 2024

Huzoor ﷺ  Ko Ya Muhammad Kehna Kaisa?
Answer

Rasool e Azam ﷺ  Ko Sirf Naam Se Ya Muhammad Pukarna Najaiz Hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

05 Jan 2024

Ambiya Ke Andar Bhi Gunah Rakhe Gaye Hain - Aisa Aqeeda Rakhna Kaisa?
Answer

Ye Aqeeda Rakhna Ki Ambiya Bhi Gunah Karte Hain Batil Hai Ambiya Tamam Ke Tamam Gunah Se Paak Hote Hain Aur Ye Har Qism Ke Gunah Se Paak Hote Hain, Iske Khilaf Aqeeda Rakhna Islam Ka Hissa Nahi Hai Aur Ap Pehle Uska Aqeede Check Kijiye Jisne Kaha Ki “Ambiya Ke Andar Gunah Rakhe Gaye Hain.”