06 Jan 2024
Aadhi Aastin Jis Par Upar Se Koi Dupatta Na Dhaka Jaye Aur Namaz Me Khuli Rahe Usme Namaz Nahi Hogi Chahe Tanha Padhe.
06 Jan 2024
Khatoon Ko Face Ke Bal Hatwa Lena Chahiye Agar Laser Se Nuqsan Na Hota Ho To Karwa Le, Warna Koi Aisa Zariya Ikhtiyar Kare Jisse Skin Ko Nuqsan Na Ho.
06 Jan 2024
Hamal (Pregnancy) Ke Bad Nifas Ke Zyada Se Zyada 40 Din Hote Hain Agar Khoon Jari Rahe To 40 Din Tak Namaz Nahi, Aur Kam Se Kam Koi Din Nahi, Agar 1 Din Me Sahi Ho Jaye To Namaz Farz Hai.
06 Jan 2024
Ji Nahi, Hath Me Koi Zewar Na Hone Se Uske Hath Ka Khana Peena Haram Nahi Hoga Magar Aurat Ko Bezewar Rehna Makruh Hai.
06 Jan 2024
Choodi Khawateen Ka Ek Zewar Hai Aur Aurat Ko Zewar Pehenna Sunnat Hai.
Aurat agar Na Pehenna toh Makruh Hai Kyunki Ye Mardo Se Mushabehat Ikhtiyar Karna Hai Jo Ki Hadees Me Mana Hai.
06 Jan 2024
06 Jan 2024
Han So Sakti Hain, Do Baton Ka Khayal Rakhe, 1 Deewar Honi Chahiye Warna Chat Badi Ho Aur Bich Me Soye, 2 Uske Charo Taraf Ke Ghar Unche Ho To Parde Ka Intizam Karke Soye.
06 Jan 2024
Behtar Hai Silver Ke Pehne Ya Plastic Ke.
06 Jan 2024
Hamal Zaya Karne Ki Sakht Zaroorat Na Ho To Aisa Nahi Karna Chahiye Chahe 2 Hafte Ka Ho Ya 2 Din Ka Aur Agar Waqai Zaroorat Hai To Kiya Ja Sakta Hai.
06 Jan 2024
Ji Haan Aurat Blade Ka Istemal Kar Sakti Hai Isme Harj Nahi Jisse Bhi Safai Achchi Ho Wahi Istemal Kare Chahe Cream Chahe Blade.
06 Jan 2024
Parda Karna Farz Hai, Chahe Jaise Ho, Niqab Se, Burqe Se Ya Chadar Se.
06 Jan 2024
Chandi Ka Challa Aurat Ko Pehenna Jaiz Hai.