23 Jan 2024
Nahi, Aisa Kuch Nahi, Jiska Aqeeqa Na Hua Ho Uske Naam Bhi Qurbani Ho Sakti Hai.
23 Jan 2024
Haan Qurbani Ho Jayegi.
23 Jan 2024
Agar Imam Sahab Ne Charo Rag Kat Di To Fir Zibah Ki Zaroorat Nahi Aur Agar Imam Sahab Ne Poora Zibah Nahi Kiya Fir Qasai Ne Kiya To Padhna Hoga.
23 Jan 2024
Saal Bhar Se Kam Ka Bakra Qurbani Aur Aqeeqe Ke Liye Nahi Ho Sakta.
23 Jan 2024
Ji Haan Aqeeqe Ke Gosht Par Kisi Bhi Sunni Musalman (Zinda Ya Murda) Ki Fatiha (Isal e Sawab) Karne Me Koi Harj Nahi.
23 Jan 2024
Pura Sawal: Shohar Biwi Ko Zewrat Ya Pocket Money Deta Hai To Hamesha Ka Irada Nahi Karta Is Niyat Se Deta Hai Ki Zaroorat Padi To Zewrat Bech Kar Zaroorat Puri Kar Lunga, To Kya Un Zewrat Aur Paise Par Qurbani Wajib Hogi?
Answer: Biwi Ko Hamare Urf Me Jo Paisa Zewar Diya Jata Hai Wo Biwi Hi Ki Milkiyat Hota Hai, Agarche Saf Na Kaha Jata Ho, To Us Raqam Aur Zewar Par Biwi Ko Zakat Wajib Hai (Agar Aur Sharait Pai Jati Ho To). Albatta Agar Kisi Shohar Ne Koi Raqam Khas Kisi Kam Ya Kisi Aur Wajah Se Rakhne Ko Di Hai To Wo Biwi Ko Alag Se Wazeh Kare.