Sunni | Hanafi | Barelwi | Visit English Site

Inshort Category: Namaz

Sikander Warsi
Sikander Warsi

09 Jan 2024

Namaz Me Ankh Band Karke Niyat Bandhna Kaisa?
Answer

Namaz Ankh Band Kar Ke Padhna Makruh Hai Aur Wo Bhi Us Surat Me Jahan Aankhe Khol Kar Padhne Me Koi Karahat Na Ho Aur Agar Ankhe Khol Kar Padhne Me Zehen Muntashir Hota Ho Aur Ankhe Band Karke Padhne Me Itminan Hasil Hota Ho To Ankhe Band Karke Padhne Me Harj Nahi.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

09 Jan 2024

Namaz Ada Karte Waqt Dono Pair Ke Bich Ka Fasla Kitna Rakhen?
Answer

Qiyam Ki Halat Me Namazi Ke Dono Panjo Ke Darmiyan 4 Ungali Ka Fasla Hona Mustahab Hai, Isi Tarah Bahar e Shariat Me Hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

09 Jan 2024

Moze Pehenkar Namaz Ada Karen To Moze Pent Ke Andar Rakhe Ya Bahar?
Answer

Moze Pehen Kar Namaz Ada Karen To Moze Pent Ke Andar Rakhe Aur Payche Upar.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

09 Jan 2024

Namaz Me Gas Ka Ghalba Ho To kiya jaye?
Answer

Namaz Shuru Karne Se Pehle Agar Gas, Peshab Waghaira Ka Ghalba Ho To Namaz Shuru Hi Nahi Karni Chahiye Aur Agar Shuru Karne Ke Bad Aisi Surat Pesh Aai Ho To Namaz To Padhte Rehna Gunah Hai Lihaza Aisi Surat Me Namaz Tod De, Farigh Ho Fir Se Namaz Padhe.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

09 Jan 2024

Kya 5 Waqt Ki Namaz Ek Sath (Ikaththa) Padh Sakte Hain?
Answer

Present (Maujooda Din Ki) Namaz Waqt Aane Se Pehle Ki Nahi Padh Sakte Albatta Piche Qaza Ho To 3 Makruh Waqt Chor Kar Padh Sakte Hain.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

09 Jan 2024

Namaz Me Hawa Kharij Hone Ka Shak Ho To Kya Karen?
Answer

Shak Se Kuch Nahi Hota, Agar Yaqeen Ho Ki Hawa Kharij Hui Thi To Namaz Fir Se Padhi Jaye, Aur Sirf Wehem Tha Ki Shayad Hui Ho To Na Dohraya Jaye.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

07 Jan 2024

10 Saal Ki Namaz Qaza Hai Aur Usne 10 Saal Ki Fajr Ki Namaz Mukammal Kar Li - ab aage kaise kare?
Answer

Dono Baaton Ka Ikhtiar Hai Use, Jaise Fajr Ki Kari Waise Hi Tamam Ek Ek Karke Poori Kar Le Ya Har Waqt Poore Poore Din Ki Tamam Kar Le.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

07 Jan 2024

Fajar Ki Namaz Choot Jaye To Zohar Se Pehle Sunnat Aur Farz Dono Padhni Hai Ya Sirf Farz?
Answer

Sirf Farz Padhna Kafi Hai Sunnat Padhna Mustahab Hai Jab Ki Zawal Se Pehle Padhe.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

07 Jan 2024

Asar Ki Azan Ke Baad Nafil Ke Bajaye Asar Ki Qaza Padh Sakte Hain?
Answer

Asar Ki Namaz Ke Baad Agar Makruh Waqt Na Ho To Qaza Namaz Padh Sakte Hain Jabki Masjid Me Na Padhe.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

07 Jan 2024

Qasar Karke Namaz Padhe Waqt Zohar Aur Asar Ya Magrib Aur Isha Ek Sath Padh Sakte Hain?
Answer

Qasar Namaz Apne Apne Waqt Me Padhi Jayegi, Qaza Karke Namaz Padhna Gunah e Kabira Aur Jahannam Me Le Jane Wala Kaam Hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

07 Jan 2024

Fajr Ki Farz Namaz Ada Karne Ke Baad Pehle Din Ki Farz Namaz Ya Deegar Qaza Namaze Padh Sakte Hain?
Answer

Farz Ya Koi Bhi Qaza Namaz Fajr Ke Baad Padhi Ja Sakti Hai Nafil Nahi Padh Sakte.