07 Jan 2024
Attached Bathroom Me Ghusl Ho Jayega Jab Ghusl Ho Jayega To Wuzu Khud Ba Khud Ho Jayega Aur Sirf Wuzu Karna Ho To Behtar Hai Toilet Se Door Kare Agar Mumkin Na Ho To Washroom Me Kar Sakte Hain Pani Direct Toilet Me Na Jaye Iska Khayal Rakhen.
07 Jan 2024
Ji Haan Ehtilam Se Ghusl Farz Ho Jata Hai Ghusl Karna Hoga.
07 Jan 2024
Ghusl Karte Waqt Ya Jab Bhi Jism Par Kapde Na Hon Yani Sitr Khula Ho To Bolna Nahi Chahiye Baki Nahate Waqt Bhi Aurat Baat Kar Sakti Hai Ye Hunar Aaj Suna Hai Kyun Ki Hum Logo Ka Phone To Pani Se Kharab Ho Jata Hai
07 Jan 2024
Ghusl-Khane Me Ghusl Karne Ke Baad Agar Zor Se Peshab Aaye To Kar Sakte Hain Dhyan Rahe Ki Peshab Ki Cheete Na Aaye Aur Uske Baad Fir Se Ghusl Karne Ki Zaroorat Nahi Sirf Wuzu Kar Sakte Hain.
07 Jan 2024
Ji Han Ghusl-Khane (bathroom) Me Bina Kapdo Ke Bhi Naha Sakte Hain Koi Harj Nahi.
07 Jan 2024
Jab Sar Dho Liya Jaye To Masah Karne Ki Zaroorat Nahi.
07 Jan 2024
Ji Han Ghusl Karne Se Wuzu Bhi Ho Jayega Lihaza Agar Ghusl Ke Baad Wuzu Todne Wali Cheez Na Paai Gai Ho To Usi Ghusl Se Namaz Padh Sakte Hain.
07 Jan 2024
Aisa Zaroori Nahi Hai Ye ghusl Ki Sunnat Mustahabat Me Se Hai Ki Khud Unchi Jagah Baithe, Taki Balti Me Ghusl Ka Pani Na Gire, Aur Agar Aajkal Log Shower Se Ghusl Kar Lete Hain To Unhe Unchi Jagah Ki Zaroorat Nahi.
07 Jan 2024
07 Jan 2024
Agar Shakhs Pak Hai To Mazi Wale Kapde Pehen Kar Dhone Se Mazi Pani Me Phelegi Aur phir Jism Par Pani Jayega Aur Ye Paak Jism Ko Napak Karna Hai Jo Ki Jaiz Nahi, Lihaza Mazi Ko Alag Se Dhoya Jaye.
07 Jan 2024
Islami Tarike Ke Ghusl Aur Normal Ghusl Me Kya Fark Hota Hai Mujhe Maloom Nahi Albatta Agar Kisi Ne Ghusl Ke 3 Teen Farz Ada Kar Liye To Ghusl Ho Jayega Aur Agar Ache Se Badan Par Pani Bahaya Aur Ache Se Wuzu Kar Liya To Bhi Ghusl Man Liya Jayega.
07 Jan 2024
Ghusl Ho Jayega Wo Mail Ya To Sabun Ka Hota Hai Warna Pasine Ka.